Tum jo aj laut aye ho..

Tum jo aj laut aye ho,alag hi in jajbato me magruri hai..
Aj to kambkath dhadkan kaabu me rehana jaruri hai..

Ye jo chaaya noor hai in ashko ka..
Intezaar hai ye kayi arso ka..

Agar jaan paao in jabato ko to yuhi khamoshi me to badi hi meharbani hai..
waise bhi aj batuni meri khamoshi hai…

Rubaru jo huye hai in faaslo ke baad to is dil ki dhakan phirse sunayi de rahi hai..
tumare haatho ki garamahat se bhi na jaane hum kyu kaap rahe hai..

Tumari raah taake huye kitane raate gujari ye tume kaha malum hai..
Par ha bata deti hu dur na jana,ye duriya badi jalim hoti hai..

Leave a comment