Patang✨

Udate huye us patang ko dekhke laga,kya jindagi hai iski..
Apne hi man se lehrati balkhati machalati rehati hai ,jaise ye hawayein hai uski….

Koi kheeche uski dor to sehem to jati hai wo..
Par dede dheel use to sirf balkhati hai wo…

Par man me aya sawal , hai use bhi kaha azadi udane ki..
Kyuki jab badle rukh hawa apna,use bhi to badalana padti hai dishaye apni..

Kabhi kabhi jang bhi hoti hai apno ke sang uski..
Jo jeete wo Udati hai upar…dusari aajati niche sisakati huyi ..

Kitana samaan hai manav ki jindagi aur patang ki gatha..
Dono ko bhi pasand hai udana niche rehane se jyada…

7 thoughts on “Patang✨”

Leave a reply to Abhishek Maurya Cancel reply